Jab bhi sota hun, khwaab zaroor aate hain,
Khwabon mein kabrastan hi kyu nazar aate hein?
Per kabron ke saath diye bhi to nazar aate hein.
Kabrein shayad aakhri padav ki yaad dilati hai,
Diyon ka nazar aana, shayad khwabon ka koi raaz hai.
Bahut socha, bahut jana, fir jake ye mana...
Kabron mein murda insaan sote hein, ye pata sabko hai,
Kya mrutyu-u-parant insaan ka koi vajood hota hai?
Shayad haan, ya shayad na....ya shayad pata nai!!!
Per ye wo sthaan hai jahan charon aur sannata hai,
Hawa bhi sisakti hai to sangeet saman gunjti hai,
Diya in andheri raato mein shayad kuch kehna chahta hai.
Kya bhatke hue insaano ko sahi raah dikhana chahta hai?
ya na-ummidi mei kahin ummid ki kiran jagana chahta hai,
Mein fir sona chahta hun, fir khwaab dekhna chahta hun.
Khwabon ko bhi meri mansa ka illm hai shayad,
Issi liye jab bhi diye ke bare sochna chahta hun...
Kambakht khwaab bhi mera saath chhod jate hein.
Din mein jab bhi koi kabrastan nazar aata hai,
Her kabr mein mujhe ek diya nazar aa jata hai.
Raaton ko Khwaabon mein diya ab bhi jalta nazar aata hai!!
- Gurjeet
|