Notice: Undefined index: HTTP_ACCEPT_ENCODING in /home/jppl4xl3dfxh/public_html/configuration.php on line 8
urdu poetry :: punjabizm.com
Punjabi Poetry
 View Forum
 Create New Topic
 Search in Forums
  Home > Communities > Punjabi Poetry > Forum > messages
Showing page 14 of 26 << First   << Prev    10  11  12  13  14  15  16  17  18  19  Next >>   Last >> 
Satwinder  Satti
Satwinder
Posts: 3062
Gender: Male
Joined: 26/Jun/2009
Location: Ishqe de vehde
View All Topics by Satwinder
View All Posts by Satwinder
 

Tamaam umar mujhe tootna bhikarna tha "Faraz"
Wo meherbaan bhi Kahan tak samet ta mujhe ....

27 Mar 2010

Satwinder  Satti
Satwinder
Posts: 3062
Gender: Male
Joined: 26/Jun/2009
Location: Ishqe de vehde
View All Topics by Satwinder
View All Posts by Satwinder
 

Zamane ke sawalon ko mai hans ke taal doon "Faraz"
Lekin nami aankho ki kehte hai mujhe tum yaad aate ho ....


27 Mar 2010

Satwinder  Satti
Satwinder
Posts: 3062
Gender: Male
Joined: 26/Jun/2009
Location: Ishqe de vehde
View All Topics by Satwinder
View All Posts by Satwinder
 

barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa
ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa

abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si
baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa

khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa

agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa

kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa

phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa

ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa

tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa

27 Mar 2010

Satwinder  Satti
Satwinder
Posts: 3062
Gender: Male
Joined: 26/Jun/2009
Location: Ishqe de vehde
View All Topics by Satwinder
View All Posts by Satwinder
 

Apne hi Saaye se har gaam laraz jaata hoon,
Raaste me koi deewar khadi ho jaise

Manzilein door bhi hai manjilein nazdeek bhi hain,
Apne hi paon me zanzeer padi ho jaise

Tere maathe ki Sikan, Pehle bhi dekhi thi magar,
Yeh girah ab ke mere dil pe padi ho jaise

Kitne nadaan hain tere bhoolne wale ki tujhe
Yaad karne ke likye umar padi ho jaise

Aaj dil khol ke roye hain to yun Khush hain "Faraz"
Chnd lamhon ki ye raahat bhi badi ho jaise .......

27 Mar 2010

Satwinder  Satti
Satwinder
Posts: 3062
Gender: Male
Joined: 26/Jun/2009
Location: Ishqe de vehde
View All Topics by Satwinder
View All Posts by Satwinder
 

zaKhm ko phool, phool to sar, sar ko sabaa kahate hain
jaane kyaa daur hai kyaa log hain kyaa kahate hain

kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamen aabalaapaa kahate hain

koi batlaao ke ik umr ka bichhdaa mehboob
ittefaaqan kahin mil jaaye to kyaa kahate hain

ye bhi andaaz-e-suKhan hai ke jafa ko teri
Gmzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hain

jab talak door hai tu teri parastish kar lein
ham jise chhoo na saken us ko Khudaa kahate hain

kya ta'ajub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz'
vo jo mehroom-e-tamannaa hain buraa kahate hain

27 Mar 2010

Satwinder  Satti
Satwinder
Posts: 3062
Gender: Male
Joined: 26/Jun/2009
Location: Ishqe de vehde
View All Topics by Satwinder
View All Posts by Satwinder
 

Tadap uthoon bhi to zalim teri duhayi na doon,
Mai zakham zakham hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon

Tere badan me dhadakne laga hoon dil ki tarah,
Ye aur baat ke ab bhi tujhe sunayi na doon

Khud apne aapko parkha to yeh nadamat hai,
Ke ab kabhi use Ilzaam E Bewafai Na doon

Mujhe bhi dhoond kabhi Mahav-E-Aainadari,
Mai tera akhs hoon lekin tujhe dikhayi na doon .........

27 Mar 2010

Satwinder  Satti
Satwinder
Posts: 3062
Gender: Male
Joined: 26/Jun/2009
Location: Ishqe de vehde
View All Topics by Satwinder
View All Posts by Satwinder
 

Tujh par bhi na ho gumaan mera,
Itna bhi kaha na maan mera

Mai dukhte hue dillon ka eesaa,
Aur jism lahu luhaan mera

kuch roshni sehar ko to mili,
Jalta hai jale makaan mera

Ye zaat ye kaayenaat kya hai,
Tu jaan meri jahaan mera

Jo kuch bhi hua yehi bahut hai,
Tujhko bhi raha hai dhyan mera .........

FARAZ

27 Mar 2010

Satwinder  Satti
Satwinder
Posts: 3062
Gender: Male
Joined: 26/Jun/2009
Location: Ishqe de vehde
View All Topics by Satwinder
View All Posts by Satwinder
 
ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham
chaaraagar royenge aur GamKhvaar ban jaayenge ham

ham sar-e-chaak-e-vafaa hain aur tera dast-e-hunar
jo banaa degaa hamein ai yaar ban jaayenge ham

kya Khabar thi ai nigaar-e-sher tere ishq mein
dilbaraan-e-shahar ke dildaar ban jaayenge ham

saKht jaan hain par hamaari ustavaari par na ja
aise tootenge tera iqaraar ban jaayenge ham

aur kuch din baithane do koo-e-jaanaan mein hamein
raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaayenge ham

is qadar aasaan na hogi har kisi se dosti
aashnaai mein tera mayaar ban jaayenge ham

miir-o-Gaalib kya ke ban paaye nahin faiz-o-firaaq
zam ye tha roomi-o-ataar ban jaayenge ham

dekhane mein shaaKh-e-gul lagte hain lekin dekhana
dast-e-gulchin ke liye talvaar ban jaayenge ham

ham chiraagon ko to taariki se ladnaa hai 'Faraz'
gul hue par subah ke aasaar ban jaayenge ham
27 Mar 2010

Amrinder Singh
Amrinder
Posts: 4129
Gender: Male
Joined: 01/Jul/2008
Location: Chandigarh
View All Topics by Amrinder
View All Posts by Amrinder
 

kaun karta hai wafaaon ke taqaaze tumse,

ham to ik jhuuthi tasalli ke talabgaar hain bas..

09 Apr 2010

ਬਾਠ Satwant
ਬਾਠ
Posts: 75
Gender: Male
Joined: 05/Apr/2010
Location: morinda
View All Topics by ਬਾਠ
View All Posts by ਬਾਠ
 

bahut vadia 22 ji.......

09 Apr 2010

Showing page 14 of 26 << First   << Prev    10  11  12  13  14  15  16  17  18  19  Next >>   Last >> 
Reply