YEH ZINDAGI KYA HAI?
---------------------------------
Yeh marz hai ya marz ki dawa hai,
yeh azadi hai ya jeene ki saza hai,
kisi ke liye maut se badtar,
to koi kehta ise khuda ki dua hai,
yeh zindagi kya hai, yeh zindagi kya hai.
Is par chalne ki aasaan nahi raah hai,
phir bhi insaan is par chale ja raha hai,
phool se nazuk to kabhi patthar se kathor,
har koi rakhta is par fateh paane ki chaah hai,
Yeh zindagi kya hai, yeh zindagi kya hai.
Pal pal yeh leti imtihaan ek naya hai,
Kisi ko mile hamdardi na daya hai
Hazaar koshishein kar le koi par,
Khaali haath hi jahaan se gaya hai,
Koi na samajh paaya, yeh zindagi kya hai.
|